Google Search Console mei website ko submit karna bohot aasan hai. Iske liye bas aapko ek Google Account chahiye hoga. Account se login karne ke baad Search Console ka panel open ka len apne browser mei. Direct link niche diya geya hai:
Is link par jaane ke baad Start Now par click karen. Iske baad aapke pass 2 tarike hain apni website ko search console me submit karne ke. Ya toh aap DNS Verificaiton wali option choose kar sakte hain jisme aapko ek code milega jisko aapko apne domain name provider ke control panel mei jaakar add karna hoga. Aur yaa fir second option choose kar len jisme aapko multiple verification methods mil jaayengey jaise ke file manager mei file upload karna, meta description code add karna, tag verification etc.
Ab dono mei se konsa verification method choose karna hai ye aapki requirement ke upar hai. Agar toh aapki simple website hai jiska sirf ek hee domain name hai primary wala matlab koi subdomain name nhi hai, then aap second wali option choose kar len. Vo simple bhi hai and usme aapko multiple verification methods bhi mil jaate hain.
Toh, second wale verification method mei jiska naame “URL Prefix” hota hai, usme apni website ka address enter karen, and continue pe click karen. Iske baad apako bohot saare verificaiton methods show honge, unme se koi saa bhi choose kar len, jaise for example, meta tag verification wala. Is method mei kya hota hai, aapko ek html code diya jaayega google ki taraf se joki aapke apni website ke </head> section me paste karna hai. Us code ko copy karen, and website kar theme editor mei jaake paste kar den.
Iske baad Google Search Console wale page par vapis aake Complete Verification button par click karen and aapki website ab add ho chuki hai is console mei and google isko jaldi hee index bhi kar lega.

https://search.google.com/search-console/about